Sehr Karney Ke Mukhtalif Tariqy

Jadu karne ke beshumar tariqy hain. Jin me se chand eham tariqy mandrja zail hain.

Khane Peney Ki Chezon Per Jadu

Khane peeney ki ashiya per sifli amal ke zariye ye taseer paida karna ke wo jis jis mein dakhil ho apna asar dekhain. or mutaliqa fard ko shaded se shaded nuqsan pohnchain.

Ye khane peney ki chezein insan ke rag o raishe mein piost ho kar khoun ban kar saraiyat karne lagti hain. Jis se insan tarhan tarhan ki bemarion mein mubtala ho jata hai.

Aisey sifli amal ke tord ke liye tarhan tarhan ki mushkilat ka samna karna parhta hai.

Baal, Nakhun or Istemal Shuda Kaprey per Jadu

Sahir apna na pak irada pora karne ke liye baal ya hathon pairon ke nakhun ya phir istemal shuda kaprey kisi tarhan se hasil kar leta hai.

Es tarhan ka ziada tar kam sir ke balon se liye jata hai. Bahz halton mein aurat ke satar ke baal bhi kam mein laye jatey hain. Istemal shuda kapra wahi kam mein ata hai jo istemal karne ke bahd dhoya na gya ho. Jis mein paseney ki badbu ah rahi ho.

Paon ki Mati Se Jadu Karna

Mashor ke paon ki mitti bhi jadu karne ke liye istemal ki jati hai. Jis mein mardon ki rakh ke ilawa Sifli or gandey amal ki badolat tiyar shuda ashiya milai jati hain. or Phir enhain aisi jagah daba diya jata hai. jahan se shakhs rozana guzarta ho.

Es se os shakhs ke badan per jadu apna asar dalna shuru kar deta hai. or wo mukhtalif bemariyon mein mubtila ho jata hai. Jis ka ilaaj dawaon or jari botion se bhi mumkin nahi.

Putla Ya Sehri Chez ko Makan mein Dafan Karna

Ghar ki chokhat mein ya makan ke andar kisi hisay mein putla ya koi or sehri ashiya ko dafan karna, Handi dabana, Qabristan mein putla dafan karna, jis per shakhs or oski maa ka naam likha ho.

Jin ki ek miyaad muqarar hoti hai. Muqarara miyad se qabal asal bemari ki wajah janana bohat mushkil hota hai. Lekin Allah Taala ke wali se wo chez poshidah nahi reh saki or wohi es ka barwaqt asani ke sath ilaaj kar sakta hai.

Janwaron Ki Hadion Ke Zariye Jadu Karna

Bahz janwaron ki hadion per bhi marez ka naam likh kar amal kia jata hai. or phir os hadi ko mareez ke ghar ya Aas paas daba diya jata hai. Bahz janwaron ke khoun per bhi sifli amal kiya jata hai.

Es khoun ko mareez ke ghar mein phenk dia jata hai. Ye khoun jadu ke zariye ghar mein phenkwaya jata hai.

Janwaron ke gurdon or kaleeji per bhi sifli amal kia jata hai. os es cheez ko os shakhs ke ghar mein bhej di jati hain. Agar itefaq se os shakhs ka es chez ke sath hath lag jaye. ya os per se guzar jaye tu mutaliqa shakhs sehri bemari mein mubtala ho jata hai.

Rozmara Ke Istemal Wali Chezon Per Jadu

Rozmara ke istemal mein anay wali chezon Masalan Mirch, Haldi, Dhaniya, Aata ya phir koi tarkari ya phal waghira per bhi amal kar ke kisi shakhs per jadu kia jata hai. Jin ke istemal se mutaliqa shakhs bemar parh jata hai. or Barbadi ka amal shuru ho jata hai.

Sifli Amliyat Books PDF
Sharing is Caring so Please Share it.