Sehr Ya Jadu Ki Waja Se Lagne Wali Bandashen

Aj ki Post mein, ap ke sath Sehr ya jadu ki waja se lagne wali bandashen share ki ja rahi hain. Aj kal log bughaz ki waja se bhi ek dosrey per sehr or jado kar detey hain.

Dour e Hazir mein sehr ya Jado se mutaliq ki jane wali tamam alamat mandraja zail hain.

Dulhan ki Bandish

Aisa sehr jis se Nobiyahta Dulhan ki Jinsi bandish kardi jati hai. wo apne shohar ya kisi bhi mard se hambistri karne mein shaded nafrat or bezari ka izhar karti hai. Or kisi sorat bhi es fehl ke liye razi nahi ho pati.

Aulad ki Bandish

Ye sehr Dhoud deney wale janwaron or Zacha maon per kiya jata hai. Es mamley mein Janwar ya Insan ki koi tashkhees nahi hai. Es se ye tu Aurat or Janwar ko Asqaat ho jata hai. Ya phir pait mein he bacha mar jata hai. Jis se maa ki zindagi ko shadeed khatra lahaq hota hai.

Khush hali ki Bandish

Bazariye Jado kisi makan ko ujarna or wahan kisi ka bhi rehna muhal kardena. Jis se insaan muhashi badhali ka shikar ho jata hai. Phir laakh janton ke bhi wo bulandi ki tarf nahi a pata.

Aulad Nareena ki Bandish

Sehr ke zariye Taleh Sunbala mein Baroz Mangal ya jumma Saat Attard mein ek putla bana kar kisi aurat ki guzar gah mein dal dia jata hai. Aur jab wo aurat os putlay se guzarti hai tu phir aisi aurat ke haan sirf larkiyan he larkiyan paida hoti hain.

Aulad Nareena yaani Beta kabhi bhi nahi hota. Aisey waldain betey ki aas mein apni zindagi guht guht ke guzartey hain. Lekin onki aarzoo kahein se bhi kabhi bhar nahi aati.

Dhoud Ki Bandish

Ye aisa sehr hai jo dhoud deney walay janwaron jesy Bheer, Bakri, Gaye, or Bhains waghira per kia jata hai. Ye onki guzar gah ki raah mien daal dia jaat hai. Jis per se guzartey he on ka dhoud soukh jata hai.

Hamla janwar ka bacha ye tu os ke pait mein he mar jata hai. Ya phir paida he murda hota hai. Es janwar ka dhoud jo insaan ye os janwar ka bacha pi ley tu wo shaded bemar ho jata hai. or ahista ahista mout ke moun mein chala jata hai.

Shadi Khana Abadi Ki Bandish

Sehr ke zariye kisi aurat ko talaq dilwana aur phir es ke her nikah ke bahd musalsal talaq ka silsila jari rehna. Aur wo aurat kisi bhi mard ke sath hansi khushi Nibha nahi kar pati.

Muhashi Bandish

Sehr ke zariye kisi shakhs ko dolat mand se faqeer or kangal bana diya jaata hai.

Naik Amaal Ki Bandish

Jado ke zariye ek naik or haseen o jameel aurat ko rah e rast se bhatka kar badkari ki raah per mamoor kar dia jata hai. Aur aisi daldal mein phanswana jahan se hazar ha koshish ke bawajod na nikal sakey. Aur duniya ki nazron mein Zalil or khuwar ho kar reh jaye.

Mard ki Sehat Ki Bandish

Aisa Sehr o Jado jis se mard ke joron mein dard paida kar dia jata hai. Or wo liaaj waghira karwa ker bhi es bemari se jan chora nahi sakta. Aur apni zindagi se bezar ho kar reh jaata hai.

Izzat or Toqeer ki Bandish

Sehr ke zariye matloba Mard ya Aurat ko Zilat o khuwari ka chalta phirta namona bana dena. Jis se en ka aitebar her ek se uth jata hai. Aur her fard bilawajah en se nafrat karney lagta hai.

Mard ki Jinsi Bandish

Aisa sehr jis se mard ki jinsi bandish kar ke osey namard bana dia jata hai aur ilaaj waghira karne ke bawajod wo hambistri ke laiq nahi rehta.

Rizq ki Bandish

Sehr ke zariye rizq band kar dia jata hai. Jis se sehr zada ke mali halat bohat ziada kharab ho jatey hain. or Osey aye din nuqsanat ka samna karna parhta hai. or os ka dimagh bilkul maaouf ho jata hai.

Sifli Amliyat Books PDF
Sharing is Caring so Please Share it.