If you are looking for step by step nikah parhne ka tarika in urdu Pdf, So you came to the right place. Here you can download zubani nikah padhne ka tarika guide book.
Es kitab ke musanif ka naam Moulana Muhammad Usman Noiwala hai Jo ke Madrasa Bait ul ilm Karachi ke Ustaad hain.
Table of Contents
Zubani Nikah Ka Tarika in Urdu
Ye nikah ki kitab her nikah khuwan ki khas zarorat hai kiun ke es kitab mein nikah parhne ke sharai masail likhey gaye hain.
Nikah tamam saal her din or raat her tareekh mein jaiz hai. Albata Jumma, Jumerat or Peer ko Nikah Karna Afzal hai. Es kitab mei9n apko mandrja zail topics parhne ko melengy;
- Dulhan Ke Wakeel Ke Masail
- Wali ke Masail
- Dulhan ki Tarf se ijazat deney ke sharai masail
- Fazooli ke Masail
- Nikah Farm per Dulhan ke Signature Ka Sharai Maslah
- Nikah Khuwan Ke Masail
- Dulhe ke Wakeel Ke Masail
- Wakalat Ka Alfaaz
- Mehr Ke Sharai Masail
- Nikah Ke Khutbah ke Masail
- Nikah ke faraiz in Urdu
- Nikah ke masail Urdu
- Urdu Nikah Nama
- Nikah ki Kitab in Urdu
- Nikah ka Bayan
Mehr e Fatami
Hazrat Muhammad SAW ne apni Sahabzadi Syeda Hazrat Fatima tu Zohra RA ka jo mehr muqrar kiya tha osey mehr e fatimi kehtey hain.
Wo 400 misqal chandi thi. Ek Misqal Sary Char Mashey ka hota hai. Lehaza 400 misqal chandi ki miqdar 1800 mashay Yani 150 Tola chandi hoti hai.
Agar chandi ki qeemat 1100 Ruppee fi Tola ho tu Mehr e Fatimi ki qeemat 165000 rupay hogi.